kahani sache pyar ki


Ao sunata hun ek kahani sache pyar ki
Kisi ke tute hue dil aur aetbar ki

Mera he dost tha ek
Bhola bhala sa
Seedha sadhA sa
Hansta rahta tha
Muskurata rahta tha
Kyonki woh mohabbat ke naam se bhi anjan tha

Lekin kahte hain na ki
Mohabbat bhi ek tufan ki tarah hoti hai
Jo bin batae ati hai
Akhir use bhi mohabbat ho he gai
Achi thi ladki bhi aur lagti seedhi si he thi

Lekin kya pata kisi ko
Ki woh use rulaegi
Aise he use pareshan karegi tadpaegi
Aur uski masumiyat ka
Uske sache pyar ka es tarah se
Mazak udaegi

"Akhir aisa he hua"

Wohi jo hamesha muskuraya karta tha
Aaj bhi muskurata tha
Lekin us muskurahat ke peeche
Apnd gamon ko
Uske diye hue zakhmon ko
Chipata tha

Aisa lagta tha
Mano uski dunya he badal gai ho
Uska chain o sukoon
Uski muskurahat mano kho si gai thi

Bahut samjhaya hamne use
Akhir use samajh aa he gaya
Badal diye usne raste apne

Wohi jo rato rat uske liye
Jaga karta tha roya karta tha
Jagta ab bhi tha par rota na tha
Roz rato rat padhta aur sota na tha

Akhir ek din use uski manzil mil he gai
Usse achi ladki uski zindagi me shamil  ho gai 
Usne uske he diye zakhmo ko dhal banaya
Aur sari dunya ko kamyab ho kar dikhaya

"Aur yeh sikhaya"
Ki kisi ke dur chale jane se zindagi khatm nahi hoti
Raste aur bhi hain
Yeh dunya wahin le khatm nahi hoti

......BeNaaM shayar Tasleem.....

Comments

Popular posts from this blog

Wrong number love story Shayri !! Sad Shayri story